Blog mein email Subscribe widget kaise add karen ? – Yadi aap apne blog per email subscribe widget add Karte Hain To koi bhi reader usmein Apna email enter Karke aapke newsletter ko subscribe kar sakta hai aur aap ke blog per likhe article ki notification Apne email par receive kar sakta hai. Yadi Aap Bhi Apne blog mein email subscribe widget add karna chahte hain to yah artical aapke liye Kafi important ho sakta hai. Is article Mein Ham aapko bataenge ki blog mein email subscribe widget Kaise add Karen?
Blog mein email Subscribe widget kaise add karen ?
Kisi bhi blog per traffic laane ke Kai Sare tarike Hote Hain. Bahut Sare log email marketing ke jariye apne blog par traffic Lekar Aate Hain. Iske liye aapko Apne blog par email subscribe widget add karna Hota Hai. Aksar aapne Kisi blog ke footer section mein email widget add hua dekha hoga. Yahan per Ek box banaa hota hai jismein aap ko Apna email enter karna hota hai. Iske bad subscribe button per click karna padta hai. Iske bad use blog pr likhe Gaye Sabhi post ki notification aapke email id per mil Jaati Hai.
Email Subscribe Widget Kyon Important Hai ?
Yadi aap soch rahe hain ki email subscribe widget Kyon important hai to aapki Jankari ke liye Bata De ki yadi aap apne blog per traffic increase karna chahte hain aur old visitors ko Apne new post ki notification provide Karana Chahte Hain To iske liye email subscribe widget add karna important hai. Yadi aap apne blog mein email subscribe widget add Karte Hain To aapke old visitors ko aapke new post ki notification Uske email per receive hoti hai. Iske liye use bus Apne email ke jariye subscribe karna Hota Hai.
Feedburner Kya Hai ?
Feedburner Google dwara launch Kiya gaya ek Feed Service hai. Yadi aap apne blogger.com blog per Feedburner ka use karte hain to isse aapke blog per traffic increase hota hai, Kyunki yah Ek email widget provide karta hai Jiske jariye koi bhi visitor Apna email enter Karke aapke blog ko subscribe kar sakta hai aur aapke blog per likhe Gaye new post ki notification Apne email per receive kar sakta hai. Isiliye sbse pahle feedburner pr apna account creat kar len.
Ab Niche Hum aapko blogger.com blog per email subscribe widget add karne ke bare mein Puri Jankari Denge.
Blog mein email Subscribe widget kaise add karen ?
Aap do tarike se apne blog pr email subscribe button add kar skte hain.
- Follow by email, jo ki google dwara di jaa rhi ek service hai. Iske baare mein hum neeche baat karenge.
- Extra code ka use krke kisi doosre widget ko add krna. Aisi bahut sari service hain jo extra code ke jariye email subscribe widget add krne ki suvidha dete hain.
Is post mein hum aapko blogger.com blog mein pahle se diye gaye feature ke jariye email subscribe widget add krne ki jankari dene jaa rhe hain.
- Sbse pahle blogger.com blog mein login karen aur dashboard open kar len.
- Iske baad Layout Option mein jakar Add A Widget button pr click karen.
- Yaha pr aapko follow by eamil ka option likha hua dikhai dega, us pr click kr den.
- Ab ek new page open ho jayega. Isme aap apne hisab se setting complete kr skte hain.
- Sbse pahle email subscribe widget titile choose karen.
- Iske baad feedburner link add karen. Upar humne feedburner ke baare mein jankari di hai. Yadi aapne feedburner pr apna account taiyar nhi kiya hai to sbse pahle is process ko complete karen.
- Feedburner link add krne ke baad dave button pr click karen.
- Save button pr click krne ke baad Save template option pr click kr den.
- Iski sbse achhi baat yah hai ki yaha pr aapke template ke colour ka hi widget ban jata hai.
- Aap colour code ka use karke alag alag colour ka subscribe widget bhi bana skte hain.
Conclusion
Doston humne aapko is artical ke madhyam se bataya ki Blog mein email Subscribe widget kaise add karen? Doston agar aap aap apne Blog mein traffic increase karna chahte hain to aap aap sabse pahle Apne blog ya website may email subscribe widget avashya add Karen.