Blog Par Traffic Kam Hone Ke 5 Reasons – Kai bar Humse Kuchh Aisi Galti Ho Jati Hai Jiski wajah se blog par traffic Aana kam ho jata hai. Ismein se Kuchh Aisi Bhi chijen Hain Jinke bare mein Hamen kuchh khas Jankari nahin aati hai aur yah Galti Ho Jati hai. Aise mein Hamen us Galti Ka Pata Lagana Hota Hai Jiski wajah se Blog per traffic kam ho rahe hain. Yadi aapko blog per traffic kam hone ka exact reason pata nahi hai to Tu yah artical aapke liye Kafi important ho sakta hai. Is article Mein Ham aapko Blog Par Traffic Kam Hone Ke 5 Reasons bataenge.
Blog Par Traffic Kam Hone Ke 5 Reasons
Blogging karna Kisi Ke Liye Aasan Nahin Hota Hai. Kyunki Kisi bhi Blog ko popular banane ke liye hum kafi mehnat karte hain aur use SEO friendly banane ke sath-sath search engine Mein rank karane ke liye Sare method use karte hain. Lekin Jab blog per acche khase traffic Aane shuru ho Jaate Hain To Humse Kuchh Aisi Galti Ho Jaati Hai Jiski vajah se traffic aane ke kam ho Jaate Hain. Hume is Galti ko turant Samajh Kar ise Sahi karna padta hai Taki Blog Ko Koi nuksan Na Ho sake.
Missing Sitemap
Blog per Achcha Khasa traffic laane ke liye aur use search engine Mein index karane ke liye sitemap submit karna jaruri hai. Yadi Humne sitemap submit karne mein koi galti ki hai to hamare Blog per traffic Aana kam ho jaega. Aisa isliye Kyunki Hamare Blog per likha gaya koi bhi article Kafi der se index hota hai. Aise situation mein yadi Ham current topic per artical likh rahe hain to use per Achcha Khasa traffic Nahin Mil Pata Hai. Iske sath hi sath sitemap missing hone ke reason se Aise Bhi article Hote Hain Jo index Nahin Ho paate Hain.
Blog Title
Bahut Sare log blog title create karne mein galti kar dete Hain. Aksar new blogger Kisi bhi blog ko Shuru karne se pahle Kisi popular blog Ke Naam Ki copy karte hain aur Usi Naam Se domain purchase kar lete hain. Ab yadi aapane Kisi popular blog Ki Tarah domain purchase kiya hai aur blog create Kiya Hai To Jab Koi visitor use search Karega To popular blog hi sabse pahle search engine Mein aaega. Isliye Blog creat karte samay blog title ekadam unique rakhen Taki Jab Koi visitor aapke blog ko search karen to aapke blog Ka Name Sabse pahle Aaye.
SEO Changes
Bahut Sare log Apne blog ko popular banane ke liye aur use search engine Mein rank karane ke liye daily SEO setting Karte rahte hain. Bar Bar SEO description may change karne se search engine ranking par negative effect padta hai. Isiliye daily Apne blog Mein SEO changes na Karen. Iske sath hi Sath Jab aap Koi article likhate Hain To usmein Kuchh SEO settings karte hain. Aap blog article ke SEO pr bhi regular changes na karen.
Copyright Content
Bahut Sare naye blogger Apne blog per copyright content publish karte hain. Yadi Aap Bhi Apne blog per copyright content published Karte Hain to us per traffic Aane kam ho Jaate Hain. Google dwara banae Gaye algorithm ke anusar yadi koi ek content internet per Kahin Bhi Pahle Se publish Kiya gaya hai aur uske bad Kisi dusre Jagah per use content ko publish Kiya jata hai Hai to use search engine Mein importance Nahin Di Jaati Hai ful staff yahi reason hai ki Aise Blog per traffic Aana Na kam ho jata hai.
Error 404 Redirect
Jab Ham Apne Blog Mein Koi article ya media file delete Karte Hain To Ek broken link ban jata hai. Aapke blog per Banaya Gaya Koi Bhi media file ya article search engine mein Main index ho chuka hota hai. Aisi situation Nahin yadi aap us artical ya media file ko delete kar dete Hain To bhi vah search engine mein banaa rahata hai. Yadi koi bhi visitor is link per click karta hai to use error likha hua Dikhai deta hai. Isliye aapko use redirect karna padta hai, Taki Yadi Koi visitor use link per click Karen Tu to use error na Dikhai De.