Sandes App Kya Hai? Sandes App Ke Features

Sandes App Kya Hai? Sandes App Ke Features – Present time mein bahut sare log WhatsApp use karte hain. Whatsapp ke new privacy policy ke reason se bahut sare users ne a WhatsApp ka alternative search karna shuru kar diya. India mein bhi app developers ne Whatsapp ke alternative ke roop mein Sandes App launch Kiya Hai. Sandes app ko India mein develop Kiya gaya hai aur yah puri tarah se secure hai. Ab aapke mind mein yah question aa raha hoga Ki Sandes App kya hai? Sandes app mein kaun kaun se features Diye gaye hain? Is article mein hum aapko isi ke bare mein jankari denge.

Sandes App Kya Hai ?

Sandes App bilkul WhatsApp ki tarah instant messaging app hai jo jo puri tarah se secure Hai. Yah app India mein develop kiya gaya hai jisse Indian government dwara launch kiya gaya Hai. Sandes app Android and iOS users dono ke liye available hai. Sandes App ki sabse khas baat yah hai ki ise aap website ke jariye bhi chala sakte hain. 

Sandes app mein WhatsApp ki tarah bahut sare features diye gaye hain. Sandes app ke dwara aap chatting, photo sharing, video sharing, file sharing, audio call, video call, etc kar sakte hain. Jaise hi aap Sandes app Ko download karte hain vaise hi aapko ismein milne wale features Ka use kar payenge. Iske liye aapko apne mobile number se verify karna padega.

Jaisa ki aap sabhi jante bonge ki aaj ke time mein government official se lekar government employees, sabhi WhatsApp ka use kar rahe hain. India mein WhatsApp ko puri tarah se secure nahi mana ja raha tha isiliye Indian government ne apne employees and officials ko ek secure platform uplabdh karane ke purpose se Sandes App launch kiya. Shuru mein ise Government Instant Messaging System (GIMS) name diya gya.

Aapko bata den ki Sandes app ko filhal government officials ya government employees hi use kar sakte hain. Present time mein ise public ke liye available nahi karaya gaya Hai. Lekin aage aane wale time mein ise public ke liye bhi available kara diya jaega. Uske bad aap apne Android aur iOS smartphone mein use kar sakte hain.

Sandes App features kya hain ?

Sandes App features ke baare mein neeche bataya gya hai.

  1. Sandes app end-to-end encryption feature provide karta hai jiske jariye aap kisi ko bhi encrypted message bhej sakte hain.
  2. Sandes app mein photo sharing, chatting, video sharing aur group message Jaise features diye gaye hain. 
  3. Aapko ismein WhatsApp Jaise Kai Sare features mil jaenge. Isiliye ismein audio call or Video Call karne ka option bhi diya gaya hai.
  4. Sandes app ka sara data Indian government ke pass store hote hain isiliye aap ko Iske security ko Lekar tension lene ki jarurat Nahin Hai. Aapka data India mein Puri Tarah se secure Hai.
  5. Sandes app mein auto delete message Aaj option bhi diya gaya hai. Iska matlab yah Hai Ki Jaise hi readers dwara message read kar liya Jata Hai vaise hi yah delete ho jata hai.

Sandes App mein account kaise creat karen ?

  1. Sandes app mein account banane ke liye sabse pahle Sandes app Ko download Karen. Iske bad ise apne smartphone Mein install kar le.
  2. Iske bad apna phone number enter Karen aur I Agree button per click Karen. Iske bad Get OTP option per click kar de. 
  3. Ab aapke mobile number per Ek OTP Jaega jisse OTP Box mein enter kar den aur verify kar len.
  4. Ab aap se kuch personal details maanga Jaega Jaise name, gender, etc. In information ko submit karne ke bad Next option per click Karen. 
  5. Iske bad Sandes app per aapki id create ho jayegi aur aap iska use kar payenge.